HIFZ E QURAN K LIYE
NAQSH NO 53 (HIFZ E QURAN K LIYE): Hum is mozu
main un Afrad k msail ka tazkara karain gay jo Quran Pak Hifz karnay ki
khawahish rakhte hain lakin Gharelu Preshanion ki waja say ya ghar walon k
tawun na karnay ki waja say wo Quran Pak hifz nahi kar patay aur aisay afrad jo
Quran Pak hifz kar rahay hain lakin yaad hua Quran Pak bhi bhool jatay hain ya
jo kund zehen afrad hain jinko Quran Pak yaad hi nahi hota ya aisay afrad jo
jald az jald Quran Pak hifz karna chahtay hain unk masail ki wajuhat aur hul
hum biyan karnay jaa rahay hain. Sab say pehle wo afrad jo gharelu pareshanion
ki waja say ya maa baap k tawun na karnay ki waja say Quran Pak hifz nahi kar
patay kiun k jab Insan Duniavi Preshanion main ulajh jata hai aur ghar k afrad
ka sath na ho to Insan ki tawajo barqarar nahi rehti balkay yehi pareshanian un
Afrad k dimagh ko aisay jakar leti hain k wo apnay maqsad main kamyab nahi ho
pata.